August 30, 2015

Neend ka intezar

Ankhe moondke karoon neend ka intezar 
Thak chooka hoon 
Tooth chooka hoon
Par tu Kare mujhse bewafai 

Aisa kya guna kiya humne 
Ki tum ho humse naraaz

Aajo ab aur nahin raha jata
Bewafa bhi harkar subah ghar lot ate hain 




And continue

Ek umeed ki kiran ke sahare jiye ja raha hoon...
Gum ke asoon piye ja raha hoon...

Bebas hoon is zindagi ke Sammne...
Roj ek pariksha diye ja raha hoon...

Kab to halat badlenge...
Is chalave ke sahare jiye raha hoon

Poems continue

Aaj phir dil ud jana chahta hai
Aaj phir khwab koi bunna chahta hai
Paya hai bahana naya, Naya tarana, fasana naya
Nayi  iss tasveer mein, Naye rang bharna chahta hai
Aaj phir dil ud jana chahta hai
Khule aasman ko chumna chahta hai
Unche parvat Ko chu Lena chahta hai
Aaj phir dil ud jana chahta hai
Na darr, na kauf Kisi toofan ka 
Nadi Ki tarah beh jana chahta hai
Aaj phir dil ud jana chahta hai
Pankh Nahin, par hausala mautaj nahin
Bas khul ke jeena, aur bas jeena chahta hai
Aaj phir dil ud jana chahta hai

Poems

जो जले थे हमारे लिऐ,
बुझ रहे है वो सारे दिये,
कुछ अंधेरों की थी साजिशें,
कुछ उजालों ने धोखे दिऐ..