September 10, 2015

Socha karta hoon

Aksar tanhayeeon mein socha karta hun

Mann ko kured, khud ko dhoonda karta hun

Najane kahan kho gayi who parchayi, jise aaine mein dekha karta tha

Ab jo aata hai nazar, hai kiska hai woh asar

Yahi jaanne ki koshish kiya karta hun